Shayari |
Mayoos mat hona, yeh aik guna hota hai
Milta vahi hai jo kismat main likha hota hai
Har cheez milhe humain, yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan mein hota hai.. |
|
Hamne tho umr guzaar-di tanhaai main
seh liye situm teri judaai main
abh-to yeh faryaad hai khudha se
koi aur na tarpe—-teri bewafaai main… |
|
Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega..
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari maut ki dua kaun karega… |
|
Kisi Aur k nam ki mehandi
apne hatho me tho tum saja chuki ho,
sirf rang utar na baki hai,
hamara dil tod k tum hamari jaan lechuki ho,
sirf kafan se chupana baki hai….. |
|
Dard se khelna sikh gaye hum
Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham kya btaye
Hame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,
Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum! |
|
Pyar to insan kar ek se karta hai,
pr sacha pyar jise log Mohobbat aur ishq ke naam se jante hain wo to bas Ek se karta hai,
humain Shikwa nahi hai aapse koi, kyunki hum jante hai ki lakh chahe hum dono par rishta to Khuda ki marji se hota hai. |
|
Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,
Dard Duniya Ne Bina Soche Hi De Diya,
Jo Sah Gaye Har Dard Ko Hum Chupke Se,
To Humko Hi Patthar-Dil Kah Diya. |
|